zaman makan ke hazar hangame qalb-e-KHasta ko is tarah Dher kar gae hain
ki jaise ek KHushk KHushk patte ki kapkapati hui ragon se
chipak rahi ho tamam mahaul ke manazir ki mandgi bhi
har ek jhonke ki KHastagi bhi
ye KHushk patta
hawa ke mabhut daeron mein zamin se sar paTak ke apni tamam rangat badal chuka hai
ab ek patthar ke yaKH-zada aur siyah sine pe aa ke behosh ho gaya hai
main qalb-e-KHasta ko le ke sangin daur ke farsh par paDa hun
magar yakayak kuchh aise chaunkaya qalb-e-KHasta ko ek KHwab-e-hasin ne aa kar
ki jaise barish ka pahla qatra
kuchh itni shiddat se KHushk patte pe aa gire us ko toD Dale
Nazm
AaKHiri mausam
Rajinder Manchanda Bani