tum meri zindagi mein aai ho
mera ek panw jab rikab mein hai
dil ki dhaDkan hai Dubne ke qarib
sans har lahza pech-o-tab mein hai
TuTte be-KHarosh taron ki
aaKHiri kapkapi raubab mein hai
koi manzil na jada-e-manzil
rasta gum kisi sarab mein hai
tum ko chaha kiya KHayalon mein
tum ko paya bhi jaise KHwab mein hai
tum meri zindagi mein aai ho
mera ek panw jab rikab mein hai
main sochta tha ki tum aaogi tumhein pa kar
main is jahan ke dukh-dard bhul jaunga
gale mein Dal ke banhen jo jhul jaogi
main aasman ke tare bhi toD launga
tum ek bel ki manind baDhti jaogi
na chhu sakengi hawadis ki aandhiyan tum ko
main apni jaan pe sau aafaten uTha lunga
chhupa ke rakkhunga banhon ke darmiyan tum ko
magar main aaj bahut dur jaane wala hun
bas aur chand nafas ko tumhaare pas hun main
tumhein jo pa ke KHushi hai tum us KHushi pe na jao
tumhein ye ilm nahin kis qadar udas hun main
kya tum ko KHabar is duniya ki kya tum ko pata is duniya ka
masum dilon ko dukh dena shewa hai is duniya ka
gham apna nahin gham is ka hai kal jaane tumhaara kya hoga
parwan chaDhogi tum kaise jine ka sahaara kya hoga
aao ki tarasti banhon mein ek bar to tum ko bhar lun main
kal tum jo baDi ho jaogi jab tum ko shuur aa jaega
kitne hi sawalon ka dhaara ehsas se Takra jaega
sochogi ki duniya tabqon mein taqsim hai kyun ye pher hai kya
insan ka insan bairi hai ye zulm hai kya andher hai kya
ye nasl hai kya ye zat hai kya ye nafrat ki talim hai kyun
daulat to bahut hai mulkon mein daulat ki magar taqsim hai kyun
tariKH bataegi tum ko insan se kahan par bhul hui
sarmae ke hathon logon ki kis tarah mohabbat dhul hui
sadiyon se barabar mehnat-kash haalat se laDte aae hain
chhai hai jo ab tak dharti par us raat se laDte aae hain
duniya se abhi tak miT na saka par raj ijara-dari ka
ghurbat hai wahi aflas wahi rona hai wahi bekari ka
mehnat ki abhi tak qadr nahin mehnat ka abhi tak mol nahin
DhunDe nahin miltin wo aankhen jo aankhen ho kashkol nahin
socha tha ki kal is dharti par ek rang naya chha jaega
insan hazar barson ki mehnat ka samar pa jaega
jine ka barabar haq sab ko jab milta wo pal aa na saka
jis kal ki KHatir jite-ji marte rahe wo kal aa na saka
lekin ye laDai KHatm nahin ye jang na hogi band kabhi
sau zaKHm bhi kha kar maidan se haTte nahin jurat-mand kabhi
wo waqt kabhi to aaega jab dil ke chaman lahraenge
mar jaun to kya marne se mere ye KHwab nahin mar jaenge
ye KHwab hi meri daulat hain ye KHwab tumhein de jaunga
is dahr mein jine marne ke aadab tumhein de jaunga
mumkin hai ki ye duniya ki rawish pal bhar ko tumhaara sath na de
kanTon hi ka tohfa nazr kare phulon ki koi saughat na de
mumkin hai tumhaare raste mein har zulm-o-sitam diwar bane
sine mein dahakte shoale hon har sans koi aazar bane
aise mein na khul kar rah jaana ashkon se na aanchal bhar lena
gham aap baDi ek taqat hai ye taqat bas mein kar lena
ho azm to lau de uThta hai har zaKHm sulagte sine ka
jo apna haq KHud chhin sake milta hai use haq jine ka
lekin ye hamesha yaad rahe ek fard ki taqat kuchh bhi nahin
jo bhi ho akele insan se duniya ki baghawat kuchh bhi nahin
tanha jo kisi ko paenge taqat ke shikanje jakDenge
sau hath uThenge jab mil kar duniya ka gareban pakDenge
insan wahi hai tabinda us raaz se jis ka sina hai
auron ke liye to jina hi KHud apne liye bhi jina hai
jine ki har tarah se tamanna hasin hai
har shar ke bawajud ye duniya hasin hai
dariya ki tund baDh bhayanak sahi magar
tufan se khelta hua tinka hasin hai
sahra ka har sukut Daraata rahe to kya
jangal ko kaTta hua rasta hasin hai
dil ko hilae lakh ghaTaon ki ghan-garaj
miTTi pe jo gira hai wo qatra hasin hai
dahshat dila rahi hain chaTanen to kya hua
patthar mein jo sanam hai wo kitna hasin hai
raaton ki tirgi hai jo pur-haul gham nahin
subhon ka jhankta hua chehra hasin hai
hon lakh kohsar bhi hael to kya hua
pal pal chamak raha hai jo tesha hasin hai
lakhon saubaton ka agar samna bhi ho
har johd har amal ka taqaza hasin hai
chaman se chand hi kanTe main chun saka lekin
baDi hai baat jo tum rang-e-gul nikhaar sako
ye dur daur-e-jahan kash tum ko ras aae
tum is zamin ko kuchh aur bhi sanwar sako
amal tumhaara ye taufiq de sake tum ko
ki zindagi ka har ek qarz tum utar sako
safar hayat ka aasan ho hi jata hai
agar ho dil ko sahaara kisi ki chahat ka
wo pyar jis mein na ho aql o dil ki yak-jehti
kisi tariq se jazba nahin mohabbat ka
hazaron sal mein tahzib-e-jism nikhri hai
baja ki jins taqaza hai ek fitrat ka
tumhein kal apne sharik-e-safar ko chunna hai
wo jis se tum ko mohabbat mile rifaqat bhi
hazar ek hon do zehn muKHtalif honge
ye baat talKH hai lekin hai ain-fitrat bhi
bahut hasin hai zehni mufahamat lekin
baDi azim hai aadarsh ki hifazat bhi
kabhi ye gul bhi nazar ko fareb dete hain
har ek phul mein tamiz-e-rang-o-bu rakhna
KHayal jis ka guzar-gah-e-sad-bahaaran hai
har ek qadam usi manzil ki aarzu rakhna
koi bhi farz ho KHwahish se phir bhi bartar hai
tamam umr faraez ki aabru rakhna
tum ek aise gharane ki laj ho jis ne
har ek daur ko tahzib o aagahi di hai
tamam mantiq o hikmat tamam ilm o adab
charagh ban ke zamane ko raushni di hai
jila-watan hue aazadi-e-watan ke liye
mare to aise ki auron ko zindagi di hai
gham-e-hayat se laDte guzar di main ne
magar ye gham hai tumhein kuchh KHushi na de paya
wo pyar jis se laDakpan ke din mahak uTThen
wo pyar bhi main tumhein do ghaDi na de paya
main jaanta hun ki haalat sazgar na the
magar main KHud ko tasalli kabhi na de paya
ye meri nazm mera pyar hai tumhaare liye
ye sher tum ko meri ruh ka pata denge
yahi tumhein mere azm o amal ki denge KHabar
yahi tumhein meri majburiyan bata denge
kabhi jo gham ke andhere mein Dagmagaogi
tumhaari rah mein kitne diye jala denge
ab mere pas aur waqt nahin
sans har lahza iztirab mein hai
larzan larzan koi dhundlaka sa
Dubte zard aaftab mein hai
maut ko kis liye hijab kahen
kis ko malum kya hijab mein hai
jism-o-jaan ka ye aarzi rishta
kitna milta hua hubab mein hai
aaj jo hai wo kal nahin hoga
aadmi kaun se hisab mein hai
KHud zamane badalte rahte hain
zindagi sirf inqalab mein hai
aao aankhon mein Dal do aankhen
ruh ab naza ke azab mein hai
thartharaata hua tumhaara aks
kab se is dida-e-pur-ab mein hai
raushni der se aankhon ki bujhi jati hai
Thik se kuchh bhi dikhai nahin deta mujh ko
ek chehra mere chehre pe jhuka aata hai
kaun hai ye bhi sujhai nahin deta mujh ko
sirf sannaTe ki aawaz chali aati hai
aur to kuchh bhi sunai nahin deta mujh ko
aao us chand se mathe ko zara chum to lun
phir na hoga tumhein ye pyar nasib aa jao
aaKHiri lamha hai sine pe mere sar rakh do
dil ki haalat hui jati hai ajib aa jao
na aizza na ahibba na KHuda hai na rasul
koi is waqt nahin mere qarib aa jao
tum to qarib aa jao!
Nazm
AaKHiri lamha
Jaan Nisar Akhtar