aaKHiri kos mujhe aaj hi tai karna hai
aur is lambe safar ka ye kaDa kos mujhe
is qadar lamba baDhana hai ki ab se pahle
jo bhi kuchh guzra hai mazi mein use phir ek bar
hazir-o-nazir-o-maujud sa main jhel sakun
arsa-e-ghaib-o-madum se is lamhe tak
wadiyan jharne charagahen maweshi panchhi
khet khaliyan chhapar-khaT mere ghar ka dalan
ganw ki galiyan makan log dukanen bazar
aur phir shahr ki saDken bason caron ka shor
umr baDhti hui bachpan se laDakpan ki taraf
aur laDakpan ki wo na-puKHta bulughat jis mein
mujh ko ehsas hua tha ki koi aur bhi hai
zindagi sari jise sath mere chalna hai
kaisa shorida-sar tufan tha tughyani thi
jis ne ek bawle insan ko be-rahmi se
dur anjaane se pardes mein la paTKHa tha
aur phir pa-ba-rikab aage hi aage ki taraf
sar pe saman uThae hue banjaron sa
DanDi pagDanDi saDak naql-o-hamal harkat-o-kuch
kaisi aayand-wurud thi ye muhim jo hijrat
jis mein simab qadam chalta raha hun barson
ek kos aur mujhe aaj ki shab chalna hai
aur is raat faqat apni hi sohbat mein agar
jo bhi main bhog chuka hun use sahba ki tarah
aaKHiri kos ke is jam mein bhar kar aanand
ek lamha bhi tawaqquf na karun hath mein lun
aur ek ghunT main pi jaun to mera ye safar
surKH-rui se mukammal ho mujhe sair kare
aaKHiri kos mujhe aaj hi tai karna hai
Nazm
AaKHiri kos
Satyapal Anand