ek KHubsurat din
main ne socha
main apne zer-e-intizam
bara sutunon ko aarasta karun
phir main ne bahs ki
ek sarbarah ki haisiyat se
mera faisla hoga
ki main in sutunon ko kaise aarasta karun
masnui phulon ke gul-daste lagaun
jamid hayat taswiren
ya shaeron ke KHake
talimi board baiTha muskuraata raha
aur sister 'ina' bhi
aur 'sayyad-tahir' bhi
aur 'mister-ashraf' bhi
aur phir sab ne ba-yak-awaz kaha
aap jo chahen karen
main ne calendar ke bara mahinon se
bara urdu shaeron ke KHake nikale
aur frame kara liye
mazduron ne bataya
hum ne har mumkin koshish kar li
in mazbut sutunon mein kilen nahin gaDi ja saktin
talimi board ne hathauDa uThaya
aur sister 'ina' ne
aur 'sayyad-tahir' ne
aur mister-ashraf ne
aur mez par baja kar
ba-yak-awaz kaha
ye aap ke tabut mein aaKHiri kil thi!
Nazm
AaKHiri kil
Tanveer Anjum