aaj to mere kapDe bhi pani ki tarah bhaari hain
maut ka kajal aankhon mein lagana
aur aankhon mein paTTi bandh kar tar pe cycle chalana
ek jaisa amal hai
zinda rahne ka amal
murda zindagi ki daryuzgi se
angur ki tarah rang badal kar do-atisha hona
pighli hui mom-batti ki raushni ke aaKHiri war
ki tarah kari hota hai
billi apne shikar se
pahle khelti hai phir khati hai
aaj jab ki mere kapDe pani ki tarah bhaari hain
meri binti suno
mujh se khelna band kar do
mujhe kha jao
Nazm
AaKHiri KHwahish
Kishwar Naheed