main sautela beTa
apne bap ki tisri biwi ka
in tinon mein
pahle meri man aai
phir main aaya
leTa baiTha
khaDa hua diwar pakaD kar
chalna jab aaya to man ko rog laga
mere khilaune
saste aur miTTi ke the
sab TuT gae
bari bari sab ki KHatir roya main
lekin man ke marne par
main roya nahin
TuTa tha
aur bikhra tha
jaise mere khilaune TuTe bikhre the
mera bachpan
mera aaKHiri khilauna tha
jis ki kirchen
ab bhi mujh mein chubhti hain
aur TuTne ki aawazen
gunjti hain
Nazm
AaKHiri khilaune ka matam
Shakeel Azmi