kanTon ki chaTTan pe khaDi 
main aankhon ki suiyan nikal rahi hun 
ye ilaqa kis saltanat mein shamil hai 
mulukiyat meri zaban pe kanTe 
halq mein phanda 
aankhen bahar 
shah-balut ke lambe daraKHton jaise 
lambe put bahut ho gae hain 
jangal mein daraKHt ziyaada ho jaen 
to aag laga kar daraKHt kam kar diye jate hain 
bahar nikli hui aankh se zafran ka khet 
aur kaTe hue bazuon se ganne ki poriyan ban gai hain 
hum ne ek jhuT bola tha na 
ab sari umr us ko sach sabit karne mein guzar denge 
hum ki jo zindagi bhar 
apne hisse ki roTi kamane ki koshish karte hain 
aur bhuke rahte hain 
jhuTi aas ki chhatri tale 
bulbule jaise aansu 
batashon ki tarah thaal mein sajae 
kab tak batlati rahogi 
ki wo tumhaara qatil nahin hai 
qatl mahz saniye mein 
zindagi ka rishta KHatm karne ka nam nahin 
maujud se inkar bhi 
to qatl ke mutaradif hota hai 
mera ji karta hai 
wo jo sab mere qatil hain 
main unhen hawa ki tarah nigal jaun
        Nazm
AaKHiri faisla
Kishwar Naheed

