aur dekho ye wo shaKHs hai jo azal se yunhi chal raha hai
yunhi jagte mein bhi chalta hai sote mein bhi
is ke ek hath mein qurs-e-mahtab hai dusre
hath mein kurra-e-arz hai panw talwar ki dhaar par hain
aur dekho ki asmat mein bhiD hai ye wahi log hain
jo nahin jaante hain ki wo kuchh nahin jaante
aur dekho ki wo shaKHs jo nekiyon aur gunahon ke misqal
uThae hue chal raha hai wo ye jaanta hai ki is bhiD
mein kuchh khule log hain kuchh chhupe log hain wo kisi
lamhe us shaKHs par apni jalti hui muTThiyan phenk denge
wo dhamake chhupae hue muTThiyon mein khaDe hain
aur dekho agar kurra-e-arz aur qurs-e-mahtab ko
rakkhen mizan mein ek jaanib udhar un dhamakon
ko rakkhen to donon barabar hi niklenge lekin
ye insaf kaise ho? andha to mizan usi waqt
uThaega jab ki wo shaKHs pul se salamat guzar jae
andhe ne kab se munadi yahi kar rakhi hai
laThi se anjaan ko bhi muafi nahin mil sakegi
aur dekho ki wo log jo jaante hain ki wo jaante hain
rassiyan un ki lambi hain wo is liye to andhe hi
ko baKHshte hain na laThi ko
un ke dilon par samaat basarat pe mohren lagi hain
aur dekho ki ye pul bhi kaisa hai KHala us ke upar hai
niche andhera hai donon sire us ke zulmat mein hain
wo jo kahte hain zulmat ke niche murdon ki ek saltanat hai
kya wo ye nahin jaante hain ki murdon ki wo saltanat kis jagah hai
kya wo ye nahin jate hain ki wo shaKHs wo KHud hain
un ko jata do adam ka KHala aur murdon ki saltanat to
yahin hai tumhaari khuli aur chhupi muTThiyon mein!
Nazm
AaKHiri din se pahle
Aziz Qaisi