اردو हिंदी
AaKHiri Diary | Shaahi Shayari
aaKHiri Diary

Nazm

AaKHiri Diary

Qazi Saleem

;

pandrah roz alalat ke, aise guzre jin mein baham rabta na tha
phail gaya ek tanha din tab dusre tanha din se mila

dhire dhire inT pe inT jami
mere chaaron taraf diwar bani

pandrah roz ke baad kahin ye zindan TuTa
wapas lauTa apni duniya mein

sab kuchh waise hi paDa hai jaise chhoD gaya tha
mez usi tarah tirchhi rakkhi hai

rack se ek kitab nikali thi yunhi khuli paDi hai
dhup utarti dhup meri almari ke aadhe paT par ruki hui hai

ab wo yahin se wapas ho jaegi
jaise us ki haden hamesha se muqarrar hain

jaise mere hone na hone ka koi farq nahin
khiDki se phir wahi hawaen lauT aain hain

mere sine mein jo sans ki surat tair chuki hain
bite pandrah dinon mein shayad wo ajdad ki taskin ka saman bani hon

wo KHush hon mere sine ke bhatte se un ka tanaffus chalta hai
mere zariye wo is duniya mein ab bhi jari aur sari hain

lekin ab to un ka shajar dur dur tak phail gaya hai
un ke jari-sari rahne ka ehsas mere hone na hone ka paband nahin

main jo nahin tha sab kuchh waise hi ruka paDa hai
bed se ek adhura KHat ab bhi jhank raha hai

ye KHat main ne tum ko likkha tha
kamre ke goshe mein dubka sannaTa

mera hamesha ka hamraaz wahi sannaTa lauT aaya hai
sargoshi mein mujh se kahta hai

tum is KHat se umr mein pandrah roz baDe ho
us din wo sari baaten kitni sachchi thin!

wo sachchai aTal hai
wahin khaDi hai

meri sari nazmon ki manind
jo meri biti sanson ka katba hain

zinda hain painda hain
mere hone na hone ki paband nahin