aaKHiri bas
tairti si ja rahi hai
shab ki farsh-e-marmarin par
shabnam-agin dhund ki nili gupha mein
bas ke andar har koi baiTha hai
apna sar jhukae
KHastagi din ki chabae
kya hui ek dusre se baat karne ki
wo rahat wo masarrat
aaj duniya aaKHiri bas ki tarah mahw-e-safar hai
sab musafir
qurb ke ehsas se na-ashna baiThe hue hain
ab kisi ko ajnabi hona bura lagta nahin hai
Nazm
AaKHiri bus
Rajinder Manchanda Bani