aaKHiri bar milo aise ki jalte hue dil
rakh ho jaen koi aur taqaza na karen
chaak-e-wada na sile zaKHm-e-tamanna na khile
sans hamwar rahe shama ki lau tak na hile
baaten bas itni ki lamhe unhen aa kar gin jaen
aankh uThae koi ummid to aankhen chhin jaen
is mulaqat ka is bar koi wahm nahin
jis se ek aur mulaqat ki surat nikle
ab na haijaan o junun ka na hikayat ka waqt
ab na tajdid-e-wafa ka na shikayat ka waqt
luT gai shahr-e-hawadis mein mata-e-alfaz
ab jo kahna hai to kaise koi nauha kahiye
aaj tak tum se rag-e-jaan ke kai rishte the
kal se jo hoga use kaun sa rishta kahiye
phir na dahkenge kabhi aariz-o-ruKHsar milo
matami hain dam-e-ruKHsat dar-o-diwar milo
phir na hum honge na iqrar na inkar milo
aaKHiri bar milo
Nazm
AaKHiri bar milo
Mustafa Zaidi