musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon samet shahr ki fasil par laTak rahe hain
aur har taraf sukun hai
sukun hi sukun hai
fughan-e-KHalq ahl-e-taifa ki nazr ho gai
mata-e-sabr wahshat-e-dua ki nazr ho gai
umid-e-ajr be-yaqini-e-jaza ki nazr ho gai
na e'tibar-e-harf hai na aabru-e-KHun hai
sukun hi sukun hai
musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon
samet shahr ki fasil par laTak rahe hain aur har taraf sukun hai
sukun hi sukun hai
KHalij-e-iqtidar sarkashon se paT di gai
jo hath aai daulat-e-ghanim banT di gai
tanab-e-KHema-e-lisan-o-lafz kaT di gai
faza wo hai ki aarzu-e-KHair tak junun hai
sukun hi sukun hai
musahibin-e-shah mutmain hue ki sarfaraaz sar-burida bazuon samet shahr ki fasil par laTak rahe hain
aur har taraf sukun hai
sukun hi sukun hai
Nazm
AaKHiri aadmi ka rajaz
Iftikhar Arif