sathiyo! main ne barson tumhaare liye
chand taron bahaaron ke sapne bune
husn aur ishq ke git gata raha
aarzuon ke aiwan sajata raha
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya nae git lata raha
aaj lekin mere daman-e-chaak mein
gard-e-rah-e-safar ke siwa kuchh nahin
mere barbat ke sine mein naghmon ka dam ghuT gaya
tanen chiKHon ke ambar mein dab gai hain
aur giton ke sur hichkiyan ban gae hain
main tumhaara mughanni hun naghma nahin hun
aur naghme ki taKHliq ka saz-o-saman
sathiyo! aaj tum ne bhasm kar diya hai
aur main apna TuTa hua saz thame
sard lashon ke ambar ko tak raha hun
mere chaaron taraf maut ki wahshaten nachti hain
aur insan ki haiwaniyat jag uThi hai
barbariyat ke KHun-KHar ifrit
apne napak jabDon ko khole
KHun pi pi ke ghurra rahe hain
bachche maon ki godon mein sahme hue hain
ismaten sar-barahana pareshan hain
har taraf shor-e-ah-o-buka hai
aur main is tabahi ke tufan mein
aag aur KHun ke haijaan mein
sar-nigun aur shikasta makanon ke malbe se pur raston par
apne naghmon ki jholi pasare
dar-ba-dar phir raha hun
mujh ko amn aur tahzib ki bhik do
mere giton ki lai mera sur meri nai
mere majruh honTon ko phir saunp do
sathiyo! main ne barson tumhaare liye
inqalab aur baghawat ke naghme alape
ajnabi raj ke zulm ki chhanw mein
sarfaroshi ke KHwabida jazbe ubhaare
aur us subh ki rah dekhi
jis mein is mulk ki ruh aazad ho
aaj zanjir-e-mahkumiyat kaT chuki hai
aur is mulk ke bahr-o-bar baam-o-dar
ajnabi qaum ke zulmat-afshan pharere ki manhus chhanw se aazad hain
khet sona ugalne ko bechain hain
wadiyan lahlahane ko betab hain
kohsaron ke sine mein haijaan hai
sang aur KHisht be-KHwab wa bedar hain
un ki aaankhon mein tamir ke KHwab hain
un ke KHwabon ko takmil ka rup do
mulk ki wadiyan ghaTiyan khetiyan
aurten bachchiyan
hath phailae KHairaat ki muntazir hain
in ko amn aur tahzib ki bhik do
maon ko un ke honTon ki shadabiyan
nanhe bachchon ko un ki KHushi baKHsh do
mulk ki ruh ko zindagi baKHsh do
mujh ko mera hunar meri lai baKHsh do
aaj sari faza hai bhikari
aur main is bhikari faza mein
apne naghmon ki jholi pasare
dar-ba-dar phir raha hun
mujh ko phir mera khoya hua saz do
main tumhaara mughanni tumhaare liye
jab bhi aaya nae git lata rahunga
Nazm
Aaj
Sahir Ludhianvi