aaj phir ye kah raha hun
ya mujhe apnao ya meri kala mein Dub jao
ya to ek patthar bano ya phul ban kar muskurao
main tumhaari KHwahishon ke sath sab kuchh sah raha hun
aaj phir ye kah raha hun
zindagi ek fan hai, fan maya hai, maya ek jal
mera fan baKHshega tum ko zahiri husn-o-jamal
jo bhi chahogi, milega,
phul jiwan ka khilega
taj chaho taj de dun ya ajanta mang dekho
jis tarah bhi dil kahe, meri kala ka swang dekho
jo bhi mere fan se mangogi, tumhein mil jaega wo
rang jo bhi dhyan mein laogi tum, muskaega wo
han, magar phir kah raha hun
jab ye sab kuchh pa chukogi, ek daulat kho bhi dogi
mujh se nafrat hai magar ye husn-e-nafrat kho bhi dogi
sab rahega
main na hunga
aur tum meri kala ke makr se ghabra uThogi,
bich sagar ro paDogi KHud-baKHud chilla uThogi
ek sagar ki taraf ab main bhi shayad bah raha hun
aaj phir ye kah raha hun
Nazm
Aaj phir ye kah raha hun
Salam Machhli shahri