اردو हिंदी
Aaj phir mujhse | Shaahi Shayari
aaj phir mujhse

Nazm

Aaj phir mujhse

Jafar Sahni

;

aaj phir mujh se
mera kamra muKHatib hai

daraDen wo kabhi
chhat ki dikhata hai

kabhi diwar mein paDte shagafon ko
nishan jhulse hue rangon ka mujh ko

mubtila kar deta hai haibat mein
makDi ke subuk jale

hawa ke dosh par lahrane lagte hain
zawal-e-zindagi ka wo pata bhi dene lagte hain

zamin kamre ki
bosida kahani jab sunati hai

kiwaDon se sada uThti hai
rone aur sisakne ki

kabhi aahen si bharne ki
unhin lamhon ke sae mein magar

kuchh jhankti angur ki belen
dariche se tabassum ka shagufta aks

dikhlati hain aankhon ko