aaj phir dard uTha dil ke nihan KHane mein
aaj phir log satane ko chale aaenge
aaj phir karb ke shoalon ko hawa dunga main
aur kuchh log bujhane ko chale aaenge
aag se aag bujhi hai na bujhegi lekin
dard ko aag ke dariya mein utarna hoga
aag aur dard ke mear parakhne ke liye
in andheron ki fasilon se guzarna hoga
main andheron ki rifaqat se nahin hun bezar
sham-e-tanhai andhera bhi bhala lagta hai
haif sad haif ki munkir tha zamana jis ka
aaj wo jurm makanon mein hua lagta hai
lakh kamre ko TaTola bhi magar kuchh na mila
farsh par KHun ki do-chaar lakiron ke siwa
jang aur zulm ke asrar nihan ai zindan
jaan paega bhala kaun asiron ke siwa
dard dil hai ki bhaTakti hui ruhon ka jalal
qatl ho kar bhi dhaDakta hai jo viranon mein
main sulagta hi raha aur wo andaz-e-junun
chhup gaya aag laga kar mere armanon mein
Nazm
Aaj phir dard uTha
Chandrabhan Khayal