aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
jaane kis dahr se aaya hai ye tufan-e-bala
ye jo tufan ki is mein hain khanDar KHwabon ke
TuTte KHwab hain dhundli si guzargahon ke
an-kahi koi kahani koi jalta aansu
aa ke daman pe Thaharta hua be-kal shikwa
chup si sadhi hai mere but ne
magar aankhon mein
mere har taj-mahal ki hai haqiqat wazeh
jis mein rahti hai wo shahzadi jise qudarat ne
dil dhaDakta hua baKHsha hai badan patthar ka
main ne dekha hai ki wo raat ke andhiyaron mein
apne TuTe hue par KHud hi jila deti hai
apne ashkon ke diye KHud hi bujha deti hai
KHud hi apne liye likhti hai sazaon ki kitab
apne hathon se chhupa deti hai zaKHmon ke gulab
aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
aaj larzish si hai pairon mein thakan sanson mein
kirchiyan chubhne lagi hain jo meri aankhon mein
aaj lazim hai ki chup-chap guzar jae sham
koi aahaT ho na dastak na hi chhilke koi jam
aaj aaine se katra ke guzar jaana hai
aaj shab ghor-andhere mein utar jaana hai
phir naya din nai muskan jaga laega
shab ka tufan kinaron se utar jaega
aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
Nazm
Aaj lagta hai samundar mein hai tughyani si
Shaista Mufti