اردو हिंदी
Aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi | Shaahi Shayari
aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi

Nazm

Aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi

Parveen Shakir

;

aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi
raat gahri hai magar chand chamakta hai abhi

mere mathe pe tera pyar damakta hai abhi
meri sanson mein tera lams mahakta hai abhi

mere sine mein tera nam dhaDakta hai abhi
zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi

teri aawaz ka jadu hai abhi mere liye
tere malbus ki KHushbu hai abhi mere liye

teri banhen tera pahlu hai abhi mere liye
sab se baDh kar meri jaan tu hai abhi mere liye

zist karne ko mere pas bahut kuchh hai abhi
aaj ki shab to kisi taur guzar jaegi!

aaj ke baad magar rang-e-wafa kya hoga
ishq hairan hai sar-e-shahr-e-saba kya hoga

mere qatil tera andaz-e-jafa kya hoga!
aaj ki shab to bahut kuchh hai magar kal ke liye

ek andesha-e-be-nam hai aur kuchh bhi nahin
dekhna ye hai ki kal tujh se mulaqat ke baad

rang-e-ummid khilega ki bikhar jaega
waqt parwaz karega ki Thahar jaega

jit ho jaegi ya khel bigaD jaega
KHwab ka shahr rahega ki ujaD jaega