اردو हिंदी
Aaj ki raat na ja | Shaahi Shayari
aaj ki raat na ja

Nazm

Aaj ki raat na ja

Makhdoom Mohiuddin

;

raat aai hai bahut raaton ke baad aai hai
der se dur se aai hai magar aai hai

marmarin subh ke hathon mein chhalakta hua jam aaega
raat TuTegi ujalon ka payam aaega

aaj ki raat na ja
zindagi lutf bhi hai zindagi aazar bhi hai

saz-o-ahang bhi zanjir ki jhankar bhi hai
zindagi did bhi hai hasrat-e-didar bhi hai

zahr bhi aab-e-hayat-e-lab-o-ruKHsar bhi hai
zindagi KHar bhi hai zindagi dar bhi hai

aaj ki raat na ja
aaj ki raat bahut raaton ke baad aai hai

kitni farKHanda hai shab kitni mubarak hai sahar
waqf hai mere liye teri mohabbat ki nazar

aaj ki raat na ja