chandni raat hai jawani par
dast-e-gardun mein saghar-e-mahtab
nur ban ban ke chhan rahi hai sharab
saqi-e-asman piyala-ba-dast
main sharab-e-surur se sarmast
fikr-e-dozaKH na zikr-e-jannat hai
main hun aur teri pyari surat hai
ras-bhare honT mad-bhari aankhen!
kaun farda pe e'tibar kare
kaun jannat ka intizar kare
jaane kab maut ka payam aae
ye masarrat bhi hum se chhin jae
daman-e-aql chaak hone de
aaj ye qissa pak hone de
gham ko na-paedar kar den hum
maut ko sharmsar kar den hum
lab se lab yun milen ki kho jaen
jazb ek dusre mein ho jaen
main rahun aur na tu rahe baqi!
kis qadar dil-nashin hain lab tere
baada-e-ahmarin hain lab tere
tere honTon ka ras nahin hai ye
aab-e-kausar hai angbin hai ye
shahad ke ghunT pi raha hun main
aaj ki raat ji raha hun main
aaj ki raat phir na aaegi!
Nazm
Aaj ki raat
Hafeez Hoshiarpuri