aaj ke baad agar jina hai
aaj ka sab kuchh taj dena hai
ek jhalak mein
ek jhapak mein
zaKHmi chhalni us paikar ko
apne lahu ki aag mein
jal jaane do
gal jaane do
armanon se bahar aao
apne-ap se aage baDh jao
simaon se par utar kar
dekho
kaisi khuli faza hai
har shai main jaise
aane wali duniyaon ka bij chhupa hai
bijon se peD sunahre peD
peDon ke har kholar mein
panchhi anDe sete hain
anDon ke KHol se aane wali
be-awaz suron ki gunj suno
aur un se apne git buno
Nazm
Aaj ke baad
Qazi Saleem