aaj jaane ki zid na karo
yun hi pahlu mein baiThe raho
aaj jaane ki zid na karo
hae mar jaenge, hum to luT jaenge
aisi baaten kiya na karo
aaj jaane ki zid na karo
tum hi socho zara kyun na roken tumhein
jaan jati hai jab uTh ke jate ho tum
tum ko apni qasam jaan-e-jaan
baat itni meri man lo
aaj jaane ki zid na karo
yun hi pahlu mein baiThe raho
aaj jaane ki zid na karo
waqt ki qaid mein zindagi hai magar
chand ghaDiyan yahi hain jo aazad hain
in ko kho kar meri jaan-e-jaan
umr-bhar na taraste raho
aaj jaane ki zid na karo
kitna masum rangin hai ye saman
husn aur ishq ki aaj mearaj hai
kal ki kis ko KHabar jaan-e-jaan
rok lo aaj ki raat ko
aaj jaane ki zid na karo
yunhi pahlu mein baiThe raho
aaj jaane ki zid na karo
Nazm
Aaj jaane ki zid na karo
Fayyaz Hashmi