aaj chali hai hawa
muddaton ke baad
hayat se talluq tha jis ka
har wo shai taras gai
ki gosh ko tanaffus ki
sargam nasib ho
sunai de sarsaraati si ek aawaz
koi sargoshi koi dastak ban kar
aati jati jo mere qarib ho
dast-e-mazi se joD apne bazu
yaad-e-ayyam ke aaghosh mein
gum-gashta dida-e-tar chal paDa
hai ek talash mein
ya to aankhon ki nami se chhuTkara mile
ya phir dil ki umiden bar aaen
lekin ye kya ki
is na-murad khoj mein
aankhen dar-ba-dar bhaTakti hui
KHali hath lauT kar
thaki-haari ghar aaen
tabhi chalne lagi hawa mere bagh mein
daraKHton ke patte larazne lage
gulon ke hasin labon par
tabassum uga
aur ek nannhi si lau jagi charagh mein
khuli hawa mein sans lene ki KHwahish
dil-e-na-saz mein arman jaga gai
ghuTan se tang aa kar main ne
phir kholi jo zanjir-e-dar
kambaKHt hawa ki sozish
chashm-e-nam sukha gai
aur charaghon par raqs karte
shararon ko bujha gai
Nazm
Aaj chali hai hawa
Aditya Pant u0027Naaqidu0027