اردو हिंदी
Aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo | Shaahi Shayari
aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo

Nazm

Aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo

Faiz Ahmad Faiz

;

chashm-nam jaan-e-shorida kafi nahin
tohmat-e-ishq-e-poshida kafi nahin

aaj bazar mein pa-ba-jaulan chalo
dast-afshan chalo mast o raqsan chalo

KHak-bar-sar chalo KHun-ba-daman chalo
rah takta hai sab shahr-e-jaanan chalo

hakim-e-shahr bhi majma-e-am bhi
tir-e-ilzam bhi sang-e-dushnam bhi

subh-e-nashad bhi roz-e-nakaam bhi
un ka dam-saz apne siwa kaun hai

shahr-e-jaanan mein ab ba-safa kaun hai
dast-e-qatil ke shayan raha kaun hai

raKHt-e-dil bandh lo dil-figaro chalo
phir hamin qatl ho aaen yaro chalo