aaina
chehron ka jahan hairat
magar wo mujhe mera chehra dene se qasir
hairat-zada ho kar
main ne barha aaine mein jhanka
kitne hi aaine badal Dale
har ek se apna chehra manga
aaine par
apne gum-shuda chehre ki kai nishaniyan tak ibarat kar Dalin
lekin main kahin maujud nahin tha
shayad main aaine se gum ho gaya tha
aur wo mujhe be-chehragi ki saza suna chuka tha
saza ke is silsile ka
inhiraf kar kar ke main ne apne andar jhanka
to hairangi mujh se lipaT paDi
mera chehra mere andar
un aaluda lamhon ki qaid mein tha
jin ka shikar ho kar main ne kabhi aaine ko dhundla kiya tha
Nazm
Aaine se jhankti be-chehragi
Muneer Ahmad Firdaus