aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
tu ne wo zulf wo mukhDa wo dahan dekha hai
un ke har haal ka be-saKHta-pan dekha hai
wo na KHud dekh saken jis ko nazar bhar ke kabhi
tu ne ji bhar ke wo har KHatt-e-badan dekha hai
un ki tanhai ka dildar hai dam-saz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
kya wo shaer ki tarah KHud ko kabhi dekhte hain
TikTiki bandh ke kya apni chhabi dekhte hain
shoKH masum jawan mast sajal be-parwa
kya wo KHud apne ye andaz sabhi dekhte hain
itna gum-sum hai ki KHud apna hi andaz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
kabhi ghabrae hue bhi to wo aate honge
dil ki dhaDkan ko jo ruKHsar pe pate honge
kanpta jism sambhaale na sambhalta hoga
apni aankhon se bhi KHud aankh churaate honge
zabt-e-na-kaam ka ghabraya hua naz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai tu
maKHmalin zulf banane wo jab aaenge na
pahle us chand se mukhDe ki balaen lena
phir zaban tujh ko jo mil jae sargoshi mein
husn ko aur nikharne ki duaen dena
KHalwat-e-husn mein ek ishq ki aawaz hai tu
aaine kuchh to bata un ka to hamraaz hai to
Nazm
Aaine se
Aziz Qaisi