اردو हिंदी
Aaina | Shaahi Shayari
aaina

Nazm

Aaina

Obaidullah Aleem

;

main aaina hun
aur har aane wale ko wahi chehra dikhata hun

jo mere samne lae
magar ab thak gaya hun

chahta hun
koi mujh ko is tarah dekhe

ki chakna-chur ho jaun