main ne ek sapna dekha hai
raat ka suraj apni kali zulfen khole jag raha hai
shahr mein sannaTa pasra hai
chand ki ujli chadar tane main apne ghar mein soya hun
itne mein ek shor hai uThta
shab-KHun mara shab-KHun mara
dekho shaitan phir aa nikle
main ne bhi sab apni mata-e-zohd-o-taqwa sabr-o-qanaat
aur aamal ki sona chandi
ek ek kar ke ghar mein dekhi
wo sab apni ja pe nahin thin
itne mein ek shaKHs ko dekha
mere madd-e-muqabil tha wo
kamre mein ye kaise aaya
soch ke jab hairan hua to
baDh kar us ko chhuna chaha
lekin ye to aaina tha
Nazm
Aaina
Malik Ehsan