اردو हिंदी
Aaina | Shaahi Shayari
aaina

Nazm

Aaina

Parveen Shakir

;

laDki sar ko jhukae baiThi
kafi ke pyale mein chamcha hila rahi hai

laDka hairat aur mohabbat ki shiddat se pagal
lanbi palkon ke larzida sayon ko

apni aankh se chum raha hai
donon meri nazar bacha kar

ek duje ko dekhte hain hans dete hain
main donon se dur

dariche ke nazdik
apni hatheli par apna chehra rakhe

khiDki se bahar ka manzar dekh rahi hun
soch rahi hun

gae dinon mein hum bhi yunhi hanste the