zat ka aaina-KHana
jis mein raushan ek charagh-e-arzu
chaar-su
zafrani raushni ke daere
muKHtalif hain aainon ke zawiye
ek lekin aks-e-zat;
ek ikai par usi ki zarb se
kasrat-e-wahdat ka paida hai tilism
KHalwat-e-aina-KHana mein kahin koi nahin
sirf main!
main hi but
aur main hi but-parast!
main hi bazm-e-zat mein raunaq-afroz
jalwa-ha-e-zat ko deta hun dad!
jab hawa-e-shoKH ki mauj-e-sharir
toD jati hai kisi khiDki ke parde ka jumud
to bigaD jata hai khel
dew-qamat aks ko bauna bana deti hai bahar ki kiran
ai meri na-mustaid majhul zat
ai ki tu az-KHud nazar-band aaina-KHane mein hai
sochti hai tu kahegi an-kaha
aur kuchh kahti nahin!
sochti hai tu likhegi shahkar
aur kuchh likhti nahin!
sochti hai tu jahan-dari ki baat
aur kuchh karti nahin!
sochne hi sochne mein saat-e-taKHliq jab
tere shal hathon se jati hai phisal
to bilak paDti hai tu
ai meri na-mustaid majhul zat
KHalwat-e-aina-KHane se nikal
ai charagh-e-arzu
jis taraf zau-pash ho
jis taraf se shah-rah-e-justuju
tash aur shatranj ke shahon se bartar hai kahin
wo piyaada jo chale
wo piyaada jo chale KHud apni chaal
ai meri na-mustaid majhul zat
koi fikr
koi kaam!
koi baat!
Nazm
Aaina-KHane ke qaidi se
Ameeq Hanafi