main jab kabhi
do ghaDi
ghaur se aaina dekhta hun
to mazi ke
uljhe hue roz o shab
ki shanasa lakiron
mein dhundli tasawir
mahaul se be-KHabar bolti hain
ki jaise kisi ajnabi shaKHs ki
zindagi ki hasin saaton
dil-ruba hasraton
aur
umangon ke koh-e-nida ke
tilismat-e-KHufta ke dar kholti hain
mein hairan sa
der tak sochta hun
main apne sarapa ke miTte nishanat ko
haal ke zaichon se
juda jaanta hun
mujhe waqt ki tez raftar se
jism ki haar se
KHauf aata hai
phir bhi
ghaDi do ghaDi ke liye
aaina dekhta hun
Nazm
Aaina dekhta hun
Akhtar Ziai