zamane bhar mein aaina sadaqat ki alamat hai
magar mein is ka munkir hun
bahut jhuTa hai aaina
kabhi wo dew-qamat hastiyon ko ek dam bauna dikhata hai
tilasmati hai aaina
kabhi pasta-qadon ka qad bahut uncha dikhata hai
bahut bahrupiya hai wo
koi farba ho to us ko bahut dubla dikhata hai
bahut hi masKHara hai wo
chalo jaane bhi do ki aaina insan ki fitrat mein shayad Dhal gaya hoga
magar kuchh shoabda-bazi ki had bhi hai
ye aaina to mujh se bhi hamesha makr karta hai
jo mera hath ho sidha to wo ulTa dikhata hai
agar ulTa dikhata hun to phir sidha dikhata hai
bahut jhuTa hai aaina
magar aaina-e-ayyam mein takzib-e-aina ki haisiyyat bhala kya hai
KHuda jaane
magar tariKH kahti hai
yahi takzib-e-aina, zamane bhar ke shishagar qabile ke liye KHatraat ka tasdiq-nama hai
meri tazrib-e-paiham se ye aainon ke saudagar shikasta hain
shikasta kaifiyat mein mujh se ye daryaft karte hain
ki aaKHir kaun ho tum ji
tumhein in aainon se dushmani kyun hai
hamesha aainon ka munh chiDhate ho, sada tazhik karte ho
tum aaKHir chahte kya ho
to lo main aaj ye elan karta hun
mere is ahd ke shishagaro, saudagaro sun lo!
suno, aagah ho jao
main shaer hun
main aaine ko aaina dikhata hun!
Nazm
Aaina aur main
Khalid Mubashshir