guzarna hi agar Thahra
to aahista se guzro
koi aahaT na ho pae
abhi raste mein rasta so raha hai
abhi virani ke pahlu mein KHwabida hai KHamoshi
abhi tanhai se lipTi masafat so rahi hai
kahin aisa na ho
dasht-e-tahayyur jag jae
lahu mein be-karan gham ka samundar jag jae
abhi to pahle Dar hi se ragon mein KHamushi hai
abhi to KHun ki har bund ruk ruk ke sarakti hai
abhi gham dil mein
kuchh is andaz se karwaT badalta hai
nahin hota zara mahsus bhi wo sans leta hai
ba-zahir so raha hai ye samundar
is ko sone do
hamein bhi apne hone par zara sa khul ke rone do
guzarna ho to is manzar se aahista
bahut aahista se guzro
abhi to dhup chhanw ka
tamasha ho raha hai
abhi ashjar ke sae mein dariya so raha hai
koi is ke kinare
baadalon sa ro raha hai
Nazm
Aahista se guzro
Faheem Shanas Kazmi