tere matam mein shamil hain zamin o aasman wale
ahinsa ke pujari sog mein hain do jahan wale
tera arman pura hoga ai amn-o-aman wale
tere jhanDe ke niche aaenge sare jahan wale
mere buDhe bahadur is buDhape mein jawan-mardi
nishan goli ke sine par hain goli ke nishan wale
nishan hain goliyon ke ya khile hain phul sine par
usi ko mar Dala jis ne sar uncha kiya sab ka
na kyun ghairat se sar nicha karen hindostan wale
mere gandhi zamin walon ne teri qadr jab kam ki
uTha kar le gae tujh ko zamin se aasman wale
zamin par jin ka matam hai falak par dhum hai un ki
zara si der mein dekho kahan pahunche kahan wale
pahunchta dhum se manzil pe apna karwan ab tak
agar dushman na hote karwan ke karwan wale
sunega ai 'nazir' ab kaun mazlumon ki fariyaaden
fughan le kar kahan jaenge ab aah-o-fughan wale
Nazm
Aah gandhi
Nazeer Banarasi