hauz ke sath sath ugi sabz ghas par
dhup ki larzishen
dhimi dhimi dudh ki be-maza kachchi kachchi mahak
aagahi
aankhen
aankhon ke andar bhi aankhen ug aai hain
kya
ghas ki shaKH hoti nahin na sahi
ghas ki shaKH se phir bhi
chimTe hui sabz TiDDe ne bharpur si nind mein
jagte lahlahate
palken jhapakte hue phul ko kha liya
Nazm
Aagahi
Nasreen Anjum Bhatti