ai KHuda ai KHuda
main hun masruf-e-tasbih-o-hamd-o-sana
go ba-zahir ibaadat ki aadat nahin hai
rind-mashrab hun zohd-o-riyazat se raghbat nahin hai
magar jab bhi chalta hai mera qalam
jab bhi khulti hai meri zaban
kuchh kahun kuchh likhun
teri taKHliq ka zamzama muddaa muntaha
harf juD kar banen lafz to karte hain teri hamd-o-sana
ya KHuda ya KHuda
mere atraf hain peT KHali badan-e-nim-jaan
koi takta hai jab mera dast-e-tahi
sharm aati hai mujh ko KHuda-e-ghani
sochta hun main apni zaban rehn rakh dun kahin
rizq se KHali peTon ko bhar dun
jo hain nim-jaan un mein jaan phunk dun
aur apne liye thoDi aasaishen mol le aaun bazar se
apne bachchon ki zid puri kar dun
jo waqif nahin hain maishat ke andaz-o-raftar se
phir yahi sochta hun
KHuda ai KHuda
kya zaban rehn ho kar bhi teri itaat karegi
kya qalam bik ke bhi nam tera hi lega
dusron ko KHuda man kar
wo na karne lagen ma-siwa ki bhi hamd-o-sana
ai KHuda ai KHuda hai dua
aaKHiri sans tak
ye qalam ye zaban
likhte rahte hain la-ilaha
Nazm
Aagahi ki dua
Waheed Akhtar