mere apne huruf ka jal 
meri ruh par tang hota ja raha hai 
aur ab to meri ruh ki haDDiyan 
chaTaKH rahi hain 
aur sarab-e-agahi ke samne 
sar paTaKH rahi hain 
sukut ke huruf 
jinhon ne meri samaaton se 
shor ka lahu nichoD liya hai 
ye raushni ke huruf 
ki jinhon ne meri aankh ke 
kanch ke diyon mein rakha hua 
tel pi liya hai 
ye zaiqe ke huruf 
jinhon ne meri zaban ko 
labon ke darmiyan mar kar 
dafn kar diya hai 
aur ye iztirab 
jis ne mere pair ki ragon ki jagah 
safar ki KHwahishon se bani sutliyan khinch di hain 
aur ye aagahi 
jis ne meri ruh ki bachi khuchi 
haDDiyan bhi sameT di hain
        Nazm
Aagahi ka jal
Sarwat Zehra

