ab qalam mein
ek rangin itr bhar lo
tum hasin phulon ke shair ho koi zalim na kah de
shola-e-ehsas ke kaghaz pe kuchh likhne chala tha
aur kaghaz pahle hi ek rakh sa tha
baat wazeh hi nahin hai
shair-e-gul
daere sab maslahat-bini ke ab mauhum se hain
baat khul kar kah na pae tum
to bas zero rahoge
ab qalam mein aag bhar lo
aag tum ko rakh kar dene se pahle soch legi
zinda rahne do ise
shayad ye meri laj rakh le
log ab tak aag ke mani ghalat samjhe hue hain
aag aansu aag shabnam
aag aadam ke rabab-e-awwalin ka git
Nazm
Aag
Salam Machhli shahri