main aag bhi tha aur pyasa bhi
tu mom thi aur ganga-jal bhi
main lipaT lipaT kar
bhaDak bhaDak kar
pyas bujhati aankhon mein bujh jata tha
wo aankhen sapne wali si
sapna jis mein ek basti thi
basti ka chhoTa sa pul tha
soe soe dariya ke sang
peDon ka milon saya tha
pul ke niche aksar ghanTon
ek chand pighalte dekha tha
ab yaad mein pighli aag bhi hai
aankhon mein bahta pani bhi
main aag bhi tha aur pyasa bhi
Nazm
Aag ki pyas
Abrarul Hasan