han ye sach hai
ki tum ne mujhe
aur use
aur phir use
aur aaKHir mein use
bacha liya
main ek aag mein thi
aur mere baad wo bhi
aur phir wo bhi
aur aaKHir mein wo bhi
sirf tum bahar thin
tum ne sab ko dekha
ek ek kar ke
tum ne hamein bacha liya
phir hum ne apni apni aag ki kahaniyan sunain
aur tum ne sunin
hum ne muqabla kiya
apni apni aag ke taqaddus ka
aur shiddat ka
aur tum se chaha
munsifana faisla
tum ne alag alag sab ka KHayal rakha
aur main lauT gai
apne adh-jale bagh ki taraf
aur mere baad wo bhi
aur phir wo bhi
aur aaKHir mein wo bhi
aur koi nahin tha
jab ek aag ne
tumhein jala diya
Nazm
Aag ki kahaniyan
Tanveer Anjum