karachi
ek zaKHmi KHanaman-barbaad kachhwa
jis ke sab bazu
thakan se bebasi se
shal hue hain
jahan bhar ke dukhon ka bojh uThae
bahut halkan
KHushki par paDa hai
ab apne aansuon se
zaKHm bharna chahta hai
jo anDe bach gae hain wo sambhaale
samundar mein utarna chahta hai
Nazm
Aafiyat ki talash mein
Haris Khaleeq