اردو हिंदी
Aae basant | Shaahi Shayari
aae basant

Nazm

Aae basant

Ameeq Hanafi

;

shahr ki aaankhon ka matla saf ho
to dil mein utre Dhak ke phulon ki aanch

shahr ke nathune khulen to mauja-e-baad-e-junub
aam par bor aa chuka hai ye KHabar phailae

shahr ke kanon se niklen shor-o-ghul ke DaT
to chhue shah-e-rag ko koyal ki pukar

shahr ki jaan se ghubar-e-shahr ka baadal chhaTe
to hawas-e-KHamsa ki nagri mein bhi aae basant