اردو हिंदी
Aadmi-nama | Shaahi Shayari
aadmi-nama

Nazm

Aadmi-nama

Nazeer Akbarabadi

;

duniya mein padshah hai so hai wo bhi aadmi
aur muflis-o-gada hai so hai wo bhi aadmi

zardar-e-be-nawa hai so hai wo bhi aadmi
nemat jo kha raha hai so hai wo bhi aadmi

TukDe chaba raha hai so hai wo bhi aadmi
abdal, qutub o ghaus wali-admi hue

munkir bhi aadmi hue aur kufr ke bhare
kya kya karishme kashf-o-karamat ke liye

hatta ki apne zohd-o-riyazat ke zor se
KHaliq se ja mila hai so hai wo bhi aadmi

firaun ne kiya tha jo dawa KHudai ka
shaddad bhi bahisht bana kar hua KHuda

namrud bhi KHuda hi kahata tha barmala
ye baat hai samajhne ki aage kahun main kya

yan tak jo ho chuka hai so hai wo bhi aadmi
kul aadmi ka husn o qubah mein hai yan zuhur

shaitan bhi aadmi hai jo karta hai makr-o-zor
aur hadi rahnuma hai so hai wo bhi aadmi

masjid bhi aadmi ne banai hai yan miyan
bante hain aadmi hi imam aur KHutba-KHwan

paDhte hain aadmi hi quran aur namaziyan
aur aadmi hi un ki churaate hain jutiyan

jo un ko taDta hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi pe jaan ko ware hai aadmi

aur aadmi pe tegh ko mare hai aadmi
pagDi bhi aadmi ki utare hai aadmi

chilla ke aadmi ko pukare hai aadmi
aur sun ke dauDta hai so hai wo bhi aadmi

chalta hai aadmi hi musafir ho le ke mal
aur aadmi hi mare hai phansi gale mein Dal

yan aadmi hi said hai aur aadmi hi jal
sachcha bhi aadmi hi nikalta hai mere lal

aur jhuT ka bhara hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi hi shadi hai aur aadmi biyah

qazi wakil aadmi aur aadmi gawah
tashe bajate aadmi chalte hain KHwah-maKHwah

dauDe hain aadmi hi to mashal jala ke rah
aur byahane chaDha hai so hai wo bhi aadmi

yan aadmi naqib ho bole hai bar bar
aur aadmi hi payaade hain aur aadmi sawar

huqqa surahi jutiyan dauDen baghal mein mar
kandhe pe rakh ke palki hain dauDte kahaar

aur us mein jo paDa hai so hai wo bhi aadmi
baiThe hain aadmi hi dukanen laga laga

aur aadmi hi phirte hain rakh sar pe khuncha
kahta hai koi lo koi kahta hai la re la

kis kis tarah ki bechen hain chizen bana bana
aur mol le raha hai so hai wo aadmi

table majire daere sarangiyan baja
gate hain aadmi hi har ek tarah ja-ba-ja

ranDi bhi aadmi hi nachate hain gat laga
aur aadmi hi nache hain aur dekh phir maza

jo nach dekhta hai so hai wo bhi aadmi
yan aadmi hi lal-o-jawahar mein be-baha

aur aadmi hi KHak se bad-tar hai ho gaya
kala bhi aadmi hai ki ulTa hai jun tawa

gora bhi aadmi hai ki TukDa hai chand-sa
bad-shakl bad-numa hai so hai wo bhi aadmi

ek aadmi hain jin ke ye kuchh zarq-barq hain
rupe ke jin ke panw hain sone ke farq hain

jhamke tamam gharb se le ta-ba-sharq hain
kam-KHwab tash shaal do-shaalon mein gharq hain

aur chithaDon laga hai so hai wo bhi aadmi
hairan hun yaro dekho to kya ye swang hai

aur aadmi hi chor hai aur aapi thang hai
hai chhina jhapTi aur bang tang hai

dekha to aadmi hi yahan misl-e-rang hai
faulad se gaDha hai so hai wo bhi aadmi

marne mein aadmi hi kafan karte hain tayar
nahla-dhula uThate hain kandhe pe kar sawar

kalma bhi paDhte jate hain rote hain zar-zar
sab aadmi hi karte hain murde ke karobar

aur wo jo mar gaya hai so hai wo bhi aadmi
ashraf aur kamine se le shah-ta-wazir

ye aadmi hi karte hain sab kar-e-dil-pazir
yan aadmi murid hai aur aadmi hi pir

achchha bhi aadmi hi kahata hai ai 'nazir'
aur sab mein jo bura hai so hai wo bhi aadmi