mujh ko mahsur kiya hai meri aagahi ne
main na aafaq ka paband na diwaron ka
main na shabnam ka parastar na angaron ka
na KHalaon ka talabgar na sayyaron ka
zindagi dhup ka maidan bani baiThi hai
apna saya bhi gurezan, tera daman bhi KHafa
raat ka rup bhi be-zar, charaghan bhi KHafa
subh-e-hairan bhi KHafa, sham-e-harifan bhi KHafa
KHud ko dekha hai to is shakl se KHauf aata hai
ek mubham si sada gumbad-e-aflak mein hai
tar-e-be-maya kisi daman-e-sad-chaak mein hai
ek chhoTi si kiran mahr ke idrak mein hai
jag ai ruh ki azmat ki mari KHak mein hai
Nazm
Aadmi
Mustafa Zaidi