sadiyan qatar-dar-qatar khaDi hain
apni jagah sakit-o-jamid
baDe tajassus se dekhti hain
ek dusre se baaten karti hain
usi ek masale par
jise hal na kar pane ka afsos hai
peshani pe banti bigaDti
lakiron ki shakl mein numayan hai
jise hal karne ke liye allah ne
kitne hi nabi aur autar zamin par bheje
unhon ne apne kalam se is zamin ko sarfaraaz kiya
waqt guzarta raha guzarta raha guzarta raha
magar masala waise ka waisa hi hai ab bhi
bilkul pahle ki tarah
balki pahle se bhi zyaada KHaufnak shakl mein
wahi masala
aadmi ke insan banne ka
Nazm
Aadmi ka insan hona
Mohammad Azhar Shams