us ne itni kitaben chaT Dalin
ki us ki aurat ke pair kaghaz ki tarah ho gae
wo roz kaghaz pe apna chehra likhta aur ganda hota
us ki aurat jo KHamoshi kaDhe baiThi thi
kaghazon ke bhunkne par sartre ke pas gai
tum rambo aur freud se bhi mil aae ho kya
saifu meri saifu mirabai ki tarah mat bolo
main samajh gai ab us ki aankhen
keats ki aankhen hui jati hain
main jo sohni ka ghaDa uThae hue thi
apna nam laila bata chuki thi
main ne kaha
laila majme ki baaten mere samne mat dohraya karo
tanhai bhi koi chiz hoti hai
shakespeare ke Daramon se chun chun kar us ne Thumke lagae
mujhe tanha dekh kar
sartar freud ke kamre mein chala gaya
wo apni theory se gir gir paDta
main samajh gai us ki kitab kitni hai
lekin bahr haal sartre tha
aur kal ko majme mein bhi milna tha
main ne bhiD ki taraf ishaara kiya to bola
itne sare satron se mil kar tumhein kya karna hai
agar ziyaada zid karti ho to apne waris 'shah'
hir sayyal ke kamron mein chale chalte hain
sartre se istiara milte hi
main ne ek tanqidi nashist rakkhi
main ne aadha kamra bhi baDi mushkil se hasil kiya tha
so pahle aadhe freud ko bulaya
phir aadhe rambo ko bulaya
aadhi aadhi baat puchhni shurua ki
john Donne kya kar raha hai
second hand shairon se najat chahta hai
choron se saKHt nalan hai
dante is waqt kahan hai
wo jahannam se bhi farar ho chuka hai
us ko shubha tha
wo KHwaja-saraon se ziyaada der muqabla nahin kar sakta
apne pas-manzar mein
ek kutta musalsal bhunkne ke liye chhoD gaya hai
is kutte ki KHaslat kya hai
biyatarche ki yaad mein bhunk raha hai
tumhaara tasawwur kya kahta hai
satron ki tasawwur ke lihaz se
ab us ka ruKH goeTe ke ghar ki taraf ho gaya hai
baqi aadhe kamre mein kya ho raha hai
laDkiyan
kya harf chun rahi hain
istiare ke lihaz se
haram ke bachche gin rahi hain
laDkiyon ke nam qafiye ki wajh se
sartre ziyaada nahin rakh pa raha hai
is liye un ki ghazal chhoTi paD rahi hai
zamin ke lihaz se naqqad
apne kamron se ukhaDne ke liye tayyar nahin
lekin unhon ne wada kiya hai
sare thinker ikaTThe honge
aur bataenge ki society kiya hai
aur kyun hai
waise hawaon ka kaam hai chalte phirte rahna
dur-andesh ki aankh kaisi hai
cigarette ke kash se baDi hai
wo ghaDe se patthar nikal kar gin rahe the
aur kah rahe the main is ghaDe ka bani hun
chae ke sath ghibat ke cake
zaruri hote hain
aur chughal-KHori ki kitab ka dibacha
har shaKHs likhta hai
zabanon mein bujhe tiron se maqtul zinda ho rahe hain
baDa iblagh hai
society ke chehre pe wo zaban chalti hai
ki ek ek bande ke pas
kitabon ki riyasat bande se ziyaada hai
riyasat mein
mahaaraniyon ke qisse ghaDne par
ilm ki baDi milti hai
bill ke sada-kaghaz par
ilm likh diya jata hai
taza daryaft par
har fard ki muTThi garm hoti hai
pahle ye batao jhujhune ki tariKH-e-paidaish kya hai
main koi naqqad hun jo tariKH dohraata phirun
kisi ka kalam paDh lo
tariKH malum ho jaegi
tumhaari aankhon mein aansu
'mir' ki kitab ka dibacha likhna hai
ye kis ki paTTi hai
naqqad bhai ki
ye kis ki aankh hai
mujhe to saifu bhabhi ki malum ho rahi hai
aur ye hath
ghaalib ka lagta hai
bakte ho
zar ki aman paun to bataun
jitne nam yaad the bata diye
lekin tumhaara tasawwur kya kahta
main dum hilane ke siwa kya kar sakta hun
Nazm
Aadha kamra
Sara Shagufta