hamara roz ka mamul tha, sone se pahle
baaten karne aur jhagaDne ka
gile-shikwe ki jin mein agli pichhli
sari baaten yaad kar ke rote-dhote the
kabhi hanste bhi the to sirf kuchh lamhe
zara si der mein waisa hi jhagDa aur wahi tane
wahi sar piTna, aansu bahana, chiKHna, rona
yunhi rote hue KHwabon ke dozaKH mein
bhaTakna, aur so jaana!
guzishta shab bhi kuchh aisi hi haalat thi
magar sone se pahle wo bahut hi tilmilaya tha
kaha tha main chala jaunga lekin tum
faqat aadhe hi rah jaoge ek TuTe khilaune se!
mujhe ghaiz-o-ghazab ne jaise pagal kar diya tha
dafa ho jao! mera tum se koi rishta nahin baqi
main KHwabon ke dahakte dozaKHon se subh nikla to hun
lekin dekhta kya hun
ki wo ghaeb hai pichhli raat se
mujh ko akela chhoD kar jaane kahan anjaan rahon par
bhaTakta phir raha hoga
karun kya main? kahan DhunDun use ab aisi haalat mein?
mere ghar ke makino, rishta-e-daro, ai gali walo
mujhe yun rassiyon se bandh kar
zehni marizon ke shifa-KHane mein mat bhejo
ki main pagal nahin hun, chiKHta, sar piTta to hun
magar main chiKH kar us ko bulata hun
jo mera aadha hissa hai
jo mera dusra main hai
Nazm
Aadha-adhura shaKHs
Satyapal Anand