aasmanon se utri
ajnabi maKHluq
ya KHud-kalami mein
main Dubi sada-e-ba-gasht
hansta gata
parinda aawara
dahakte KHwabon mein
jalta paikar
ya adh-khule
darwazon se jhankta
masum baalak
be-nam jaziron ke
andhe kuon se
nikalne ki koshish-e-nakaam mein
an-dekhe
hazar jugnuon
ke taaqub mein dauDta
hanpta kanpta
aadha aadmi
jo kabhi
apna dil chir ke
nadi ke bichhaDte hue
do kinaron par
dafn kar aaya tha
aur ab in donon
kinaron par khaDa
utarti bundon ke mausam mein
din chaDhe
apne hi pighalte pinjar
ka istiqbaal karta hai
Nazm
Aadha aadmi
Qaisar Abbas