اردو हिंदी
Aadat | Shaahi Shayari
aadat

Nazm

Aadat

Gulzar

;

sans lena bhi kaisi aadat hai
jiye jaana bhi kya riwayat hai

koi aahaT nahin badan mein kahin
koi saya nahin hai aaankhon mein

panw behis hain chalte jate hain
ek safar hai jo bahta rahta hai

kitne barson se kitni sadiyon se
jiye jate hain jiye jate hain

aadaten bhi ajib hoti hain