wo raat kitni ajib thi
kaT nahin rahi thi
ki waqt hi jaise ruk gaya tha
zaban chup thi
nigahen ek dastan-e-mahrumi-e-tamanna
suna rahi thin
bisat-e-aghosh bujh gai thi
hamara hi intizar tha
farsh-e-dil-bari ko
magar hum apni sharafat-e-nafs ki
giran-bariyon se majbur ho gae the
KHud apni fitrat se
is qadar dur ho gae the
ki dil ki aawaz sun na pae
lahu ki gardish bhi waqt ke sath
tham gai thi
hum us ke haq mein wo aabla the
jo phuTta hai na sukhta hai
Nazm
Aabla
Rashid Aazar